Thursday, March 18, 2010

Rishte

Kahin to suna tha ki zindagi dene ka naam hain
Bus rishte banao aur unko nibhao jitna nibha sakte ho. Ek sawaal jo baar baar mere zehen mein aata hain.
ki kya dena ko koi ant hain? Kya koi insaan kabhi bhi yeh sochta hain ki jab uski ankhon mein ansun ho, To koi to ho uske paas usko gale lagane ke liye aur Uski ansun poochne ke liye ho?
Kya koi hain jo yeh sochta hain ya sirf sab dena jaante hain
Itne saal ho gaye is duniya ko aur iske logon ko dekhte bhaalte
Ab tak is sawaal ka jawab nahin mila aur jahan tak Mujhe yaad hain
Bohat kum log hain is duniya mein jo sirf dena jaante ho aur kabhi na dekhe ki unko kya mila
Aaj jab kabhi ansun aate hain ankhon mein, apne aas paas koi nahin hota
Phir yahin sochti hun, shayad dena hi sahi hain, jitna sochenge ki kya Paya
sirf dard aur nirasha ke elava aur kuch nahin milega
Insaan to dene se pehle hi umeed karta hain ki use kya Milega
Aisi bheed mein kya koi aisa milega jo humein apne gale lagakar sirf yeh jaan sake ki har baar dene ke badle kuch paana hi maksad nahin hota..............
Rishte, ab tak ke sabse suchhe aur sabse anmol heere.
Kabhi ankhon mein ansun dete hain aur kabhi is duniya mein jeene ka Maksad
Jab tanha rehkar socho to sirf yahi khayal aata hain ki
""""Saathi na karwan hain, yeh tera imtihan hain..
Yun hi chalachal dil ke sahare, karti hain manzil tujhko ishare
dekh kahin koi rok nahin le tujhko pukarke""""
Har pal ka yeh dhoka , ki main tumhare saath hun
Jabki aankh khulne par to apna saya bhi saath chod jata hain
Us par kisi ka har baar yeh kehna ki woh to yahin hain, jabki unki parchai tak bhi saath nahin hoti
Socho, aur batao. ki koi yeh bata sakta hain ki Rishte ki kasoti par har baar utarna kya such mein zaruri hain, jabki woh rishte sirf ankhon mein aansun aur dil mein dard hi dete hain..........
Still trying to get the answer for this from anyone close to me or close to the reality............

No comments: