Monday, March 22, 2010

Raat aur Din ka Fark

Chamakti dhoop tera Intzar kaise kar paungi main?
Jabki main Jaanti hun ki roshni se mera koi nata nahin


Tumhare is dhoke ko kaise seh paungi main
Jabki main Jaanti hun tum to kabhi suchhe the hi nahin


Abhi to din ka ujala guzarne ko hain
Aur mere Armaan abhi se mera saath chodne ko hain


Us par yeh ehsaas ki mera to kabhi koi tha hi nahin
Raat ke gehre andhere mein apne ko kaise samjha paungi main?


Is baat par gaur kar dil mera bechain hain
Ki jahan koi na ho wahan maine kisko apna paya


Jab koi mera tha hi nahin, to kyun main Darti hun kisiko Khone ka soch
Haan, such to hain, yahan koi Kisi ka nahin


Jab zarurat ho to sab aa jate hain
Par shayad Musibat par aapka Haath tham aapka Saya banne wale bus kuch chand chehre


Jo Din ke ujale mein to Kho jaate hain
Lekin Raat ke andhere mein phir se aa jate hain Humsafar Banne ko

No comments: