Friday, August 30, 2013

Lamhe

Kahan se Le aayen woh khushboo bhare Lamhe, jab sirf Tum hi paas the
Aaj to sama kuch aisa hain ki tanhai bhi mehekti hain, aur kehti hai, Phoolon mein khusbhoo kisne Di?

Saamne tum raho to zikr mohabbat ka hota hain
Jo tum na paas ho to tanhai ko hi gale laga lun

Aao ab to paas aur kehdo humse ki sirf tum hi ho meri Jaan
Na aaoge abhi to khoo doge humein hamesha ke liye

Tammanaye machalti hain tumhe gale lagene ko, 
Jism mein ab bhi khushboo hain hamari akhri mulaquat ki

Sab kuch to hai kya dhoondti Rahti hain nigaahein

Jo beet gaya hai vo Guzar kyoon nahi jaata

Pathhar si bann gai hun tumhare jaane se,Main mom ki koi gudiya nahin

Maine koi gujra hua manzar nahi chooda, Jis din se tum gaye ho maine hamesha hi tumhe khooja hain

Aaj bhi manzar wahin hain jahan se kabhi hum saath chale the
Duniya kya jaane ki kisiko khone ka alam kya hota hain
Aansu thamte nahin bus ankhen thak gai hain tumhe khoojte hue

Aao , ab to chale aao, tum kab aaoge..........