Monday, March 22, 2010

Love that is still Young and Charismatic

Aaj humein ek saath kareeb 14 yrs ho gaye
Par kabhi socho to jaise kal ki hi baat hi lagti hain

In 14 saalon mein ek baar bhi aisa nahin ehsaas hua ki jaise pyar purana ho gaya hain
Tum aaj bhi utne hi haseen ho aur utne hi khoobsurat
Tumhari ek jhalak dekhne ke liye aaj bhi mera man utna hi utsuk rehta hain
ghar aane par yahi umeed hoti hain ki pehle meri nazrein tumhe dekhen aur baad mein kisi aur ko
subah ka suraj pehle tumhare chehre se hokar mujh tak aaye
Jisse ki main sabse pehle tumhe dekhun aur baad mein is duniya ko

Har pal tumhara saath har lamha tumhara pyar
Yeh Kabhi ehsaas hi nahin hua ki, aur koi kabhi tha hi nahin hamare paas
Aur aaj bhi jab, un lamho ko yaad karti hun to lagta hain jaise kal ki hi baat hain
Shayad yahi hain Pyar ka ehsaas aur iski suchi ehmiyat
Aaj bhi jab tumhe chooti hun to aisa lagta hain jaise woh pehla ehsaas woh pehli sharam

Pyar ka ehsaas hi aisa zinda hain jo humein ek doosre se itna kareeb rakhta hain
Mujhe tumhara aur tumhe mera intezaar
Dekhi hain tumhari ankhon mein woh chamak jo mujhe dekhte hi aa jaati hain
Aise hi yeh pyar hamesha Jawaan rahe aur barkraar rahe
Chahe kuch bhi ho , yeh rishta utna hi anmol rahe jitna aaj se 14 saal pehle tha

Yaad hain woh pehli mulakaat jab maine tumhe pehli baar dekha tha
Aur tum baar baar mud kar mujhe dekh rahe the
Mano jaise keh rahe ho ki aao mujhe hamesha ke liye apna banalo
Shayad woh ek pal kafi tha hum dono ke liye
Is pyar ki Ehmiyat aur iski asli Keemat jaane ke liye

Aur kya kahun, kehne ko to itna hain ki shayad sari umar hi kum pad jaye
Sirf tumhara pyar hi mujhe is Kabil bana paya hain
Bus itna hi kahungi, ki hamesha mere saath rehna aur hamare is Anmol pyar ke rishte ko
Hamesha Hamesha Jawaan rakhna aur is mein kabhi apne aham ko aane mat dena

Jaante ho na, jahan Aham ho wahan pyar nahin reh sakta aur jahan Pyar ho wahan Aham ke liye koi jagah nahin
Pyar to dena hain na, wohi to hum karte aaye hain en 14 saalon mein
Maine tumhe aur tumne mujhe, sirf aur sirf pyar hi to diya hain
Yahi ek wajah hain, jo ki hum dono ko ek doosre ke itne kareeb rakhe hue hain
Jahan kisi bhi galat fehmi ke liye koi jagah nahin
Koi jitna chahe koshish karle, hum dono ko alag nahin kar sakta

Kaash aisa insaan mil pana utna hi asaan hota
Par kehte hain na, achhi kismat mil pana utna hi mushkil hain jitna ki kisi ko Maut ke muhh se bachake la pana
Par jahan Chaah hoti hain wahin raah bhi hoti hain

Shayad isi liye mujhe tum mil gaye aur zindagi ki sari kami puri ho gai
Ab koi chah nahin , koi mile ya na mile , koi apna ban sake ya na
Bus tum yunhi ek Sache saye ki tarah hamesha mere saath rehna
Main bhi tumse aaj ek wada karti hun, chahe kuch ho jaye
Is suchai ko main aaj swikarti hun, haan main bus tumhari hun, sirf tumhari!!!!!!!!

No comments: