Monday, March 29, 2010

Kabhi Aisa bhi ho

Haan socha tha maine, kya kabhi aisa bhi hoga
Ki main sochun aur tumhe khabar ho jaye.


Haan socha tha maine, kya kabhi aisa bhi hoga
Ki main tumhe chahun aur tumhari chahat mujhe mil jaye

Socha to tha, jab haqeeqat ke aaine mein nazar aaya to dil ka bhram toot gaya
Haan socha to tha, par kya jo sochun woh mil jaye, yeh zaruri to nahin

Bus is dil ko samjhana thoda mushkil hain
Par haan aaj bhi kehna yahi chahungi, ki humein aapse mohabbat hain, beintaha aur suchhi mohabbat.

Jo na to jhudlai ja sakti hain aur na hi khatm.
Yeh to aisa ehsaas hain jo na jiye jaye aur na hi mara jaye.
Yahi hain hamara Tassavur aur hamari chahat ka asliyat.......

Monday, March 22, 2010

Zameer hamara Aaina hain

Kyun jo pyar karte hain apne zameer se lad nahin pate
Kyun woh humse naraaz ho gaya ho
Usko manane ke dus bahane banate hain hum
Dekho ek suraj jo sari duniya ko apni roshni se ujagar karta hain
agar us mein bhi guroor aa jaye to kya woh kisi ko roshni de payega

Kyun nahin soch pate hum bhi aisa
Kyun nahin apne ko bhulakar sirf apne pyar ko de pate
Kyun har baar hamari apni zarurat ya matlab aage aa jata hain
Gar suraj na hota to chand bhi na hota
To kya kadr reh jati is duniya mein Din aur Raat ki

Din ki apni zarurat hain, lekin Raat ko hona bhi zaruri hain
Waise hi kya hum apne aap ko bhulakar apne pyar ke nahin ho sakte
Kyun sochte hain , ki woh bhi pehal kar sakti/sakta tha na
Kyun?????
Socho socho, aur phir batao. Hum sab is Kyun ka jawab jaante hain
Iska Jawab apne Mann se poocho aur phir jaan paoge kyun Kehte hain
divine to peace is to give, to render without expecting any return out of it from it
the happiness of giving something is far far different than the Guilt of losing someone

Ek insaan jo is duniya mein aaya
Yeh soch kar to nahin aaya tha na Ki uska koi hoga ya nahin
Phir bhi hum umeed karte hain, ki hamara apna koi ho
Jiske saath hum har baat kar sake
Apne dukh mein uske saath apna dukh baant sake
Khushi mein chahe humein koi mile ya nahin
Kyun hum umeed karte hain kisi saath ki jab hum dukhi hote hain
Main jaanti hun kehna asaan hain lekin is suchhai ko maanna aur iske saath jeena utna hi Mushkil

Main to samajh gai is asliyat ko shayad aur bhi samajh paun jab Kuch waqt akele bita paun
Socho, kya hum kuch lekar aaye the , jo khone ka humein darr hain
Jisne humein banaya, wohi hamara sucha saathi hain
socho , har waqt woh tumhara saaya hain.

Kabhi apne Zameer se jhooth nahin bol paoge
Kyunki hamara Zameer hum nahin, woh hain jiski wajah se hum aaj yahan hain
Apna Zameer apna Aaina Hota hain
Jaise Aaina apna Aks dikhata hain
aise hi Hamara Zameer humein apni asli surat se rub-a-roo karwata hain

Raat aur Din ka Fark

Chamakti dhoop tera Intzar kaise kar paungi main?
Jabki main Jaanti hun ki roshni se mera koi nata nahin


Tumhare is dhoke ko kaise seh paungi main
Jabki main Jaanti hun tum to kabhi suchhe the hi nahin


Abhi to din ka ujala guzarne ko hain
Aur mere Armaan abhi se mera saath chodne ko hain


Us par yeh ehsaas ki mera to kabhi koi tha hi nahin
Raat ke gehre andhere mein apne ko kaise samjha paungi main?


Is baat par gaur kar dil mera bechain hain
Ki jahan koi na ho wahan maine kisko apna paya


Jab koi mera tha hi nahin, to kyun main Darti hun kisiko Khone ka soch
Haan, such to hain, yahan koi Kisi ka nahin


Jab zarurat ho to sab aa jate hain
Par shayad Musibat par aapka Haath tham aapka Saya banne wale bus kuch chand chehre


Jo Din ke ujale mein to Kho jaate hain
Lekin Raat ke andhere mein phir se aa jate hain Humsafar Banne ko

Love that is still Young and Charismatic

Aaj humein ek saath kareeb 14 yrs ho gaye
Par kabhi socho to jaise kal ki hi baat hi lagti hain

In 14 saalon mein ek baar bhi aisa nahin ehsaas hua ki jaise pyar purana ho gaya hain
Tum aaj bhi utne hi haseen ho aur utne hi khoobsurat
Tumhari ek jhalak dekhne ke liye aaj bhi mera man utna hi utsuk rehta hain
ghar aane par yahi umeed hoti hain ki pehle meri nazrein tumhe dekhen aur baad mein kisi aur ko
subah ka suraj pehle tumhare chehre se hokar mujh tak aaye
Jisse ki main sabse pehle tumhe dekhun aur baad mein is duniya ko

Har pal tumhara saath har lamha tumhara pyar
Yeh Kabhi ehsaas hi nahin hua ki, aur koi kabhi tha hi nahin hamare paas
Aur aaj bhi jab, un lamho ko yaad karti hun to lagta hain jaise kal ki hi baat hain
Shayad yahi hain Pyar ka ehsaas aur iski suchi ehmiyat
Aaj bhi jab tumhe chooti hun to aisa lagta hain jaise woh pehla ehsaas woh pehli sharam

Pyar ka ehsaas hi aisa zinda hain jo humein ek doosre se itna kareeb rakhta hain
Mujhe tumhara aur tumhe mera intezaar
Dekhi hain tumhari ankhon mein woh chamak jo mujhe dekhte hi aa jaati hain
Aise hi yeh pyar hamesha Jawaan rahe aur barkraar rahe
Chahe kuch bhi ho , yeh rishta utna hi anmol rahe jitna aaj se 14 saal pehle tha

Yaad hain woh pehli mulakaat jab maine tumhe pehli baar dekha tha
Aur tum baar baar mud kar mujhe dekh rahe the
Mano jaise keh rahe ho ki aao mujhe hamesha ke liye apna banalo
Shayad woh ek pal kafi tha hum dono ke liye
Is pyar ki Ehmiyat aur iski asli Keemat jaane ke liye

Aur kya kahun, kehne ko to itna hain ki shayad sari umar hi kum pad jaye
Sirf tumhara pyar hi mujhe is Kabil bana paya hain
Bus itna hi kahungi, ki hamesha mere saath rehna aur hamare is Anmol pyar ke rishte ko
Hamesha Hamesha Jawaan rakhna aur is mein kabhi apne aham ko aane mat dena

Jaante ho na, jahan Aham ho wahan pyar nahin reh sakta aur jahan Pyar ho wahan Aham ke liye koi jagah nahin
Pyar to dena hain na, wohi to hum karte aaye hain en 14 saalon mein
Maine tumhe aur tumne mujhe, sirf aur sirf pyar hi to diya hain
Yahi ek wajah hain, jo ki hum dono ko ek doosre ke itne kareeb rakhe hue hain
Jahan kisi bhi galat fehmi ke liye koi jagah nahin
Koi jitna chahe koshish karle, hum dono ko alag nahin kar sakta

Kaash aisa insaan mil pana utna hi asaan hota
Par kehte hain na, achhi kismat mil pana utna hi mushkil hain jitna ki kisi ko Maut ke muhh se bachake la pana
Par jahan Chaah hoti hain wahin raah bhi hoti hain

Shayad isi liye mujhe tum mil gaye aur zindagi ki sari kami puri ho gai
Ab koi chah nahin , koi mile ya na mile , koi apna ban sake ya na
Bus tum yunhi ek Sache saye ki tarah hamesha mere saath rehna
Main bhi tumse aaj ek wada karti hun, chahe kuch ho jaye
Is suchai ko main aaj swikarti hun, haan main bus tumhari hun, sirf tumhari!!!!!!!!

Thursday, March 18, 2010

Maine Mohabbat ki hain

Maine Mohabbat ki Hain

Maine har us insaan se mohabbat ki hain jo meri zindagi ka hissa bana aur mojood rahaKya aapne kisi aise se mohabbat ki hain?


Maine har us ko gale lagaya jisko maine rote hue payaHar kisi ko dilasa diya jisko maine dukh takleef mein payaMujhe sirf tukraar ke aur dhoka mila, woh ek alag baat hainKya aapne kabhi aise ko dilasa diya?


Maine har kisi ko apna banaya jisse bhi main ab tak mili.Mujhe sirf nazaren aur unke matlab mile, woh ek alag baat hainKya aapne kabhi kisi ko jo aapse mila , usse apna banaya?


Maine Har Pal sirf aur sirf Pyar hi chaha aur bantaKya aapne kabhi sirf aur sirf pyar chaha aur banta hain


Jitna chaho pyar do, shayad koi kahin aapke bare mein soch kar ek din aapko bhi pyar karna shuru karde

Aur pyar ki jitni bhi kami hain use puri kar de

Pyar ek aisa ehsaas hain jo shayad ek numb ko bhi jinda karde

Ek tinke mein bhi Jaan dal de

Aur is duniya ki sari burai aur Nafrat ko Khatm kar , pyar mein badalde

Kehte hain , suche dil se chaho to kya nahin ho sakta is duniya mein

Rishte

Kahin to suna tha ki zindagi dene ka naam hain
Bus rishte banao aur unko nibhao jitna nibha sakte ho. Ek sawaal jo baar baar mere zehen mein aata hain.
ki kya dena ko koi ant hain? Kya koi insaan kabhi bhi yeh sochta hain ki jab uski ankhon mein ansun ho, To koi to ho uske paas usko gale lagane ke liye aur Uski ansun poochne ke liye ho?
Kya koi hain jo yeh sochta hain ya sirf sab dena jaante hain
Itne saal ho gaye is duniya ko aur iske logon ko dekhte bhaalte
Ab tak is sawaal ka jawab nahin mila aur jahan tak Mujhe yaad hain
Bohat kum log hain is duniya mein jo sirf dena jaante ho aur kabhi na dekhe ki unko kya mila
Aaj jab kabhi ansun aate hain ankhon mein, apne aas paas koi nahin hota
Phir yahin sochti hun, shayad dena hi sahi hain, jitna sochenge ki kya Paya
sirf dard aur nirasha ke elava aur kuch nahin milega
Insaan to dene se pehle hi umeed karta hain ki use kya Milega
Aisi bheed mein kya koi aisa milega jo humein apne gale lagakar sirf yeh jaan sake ki har baar dene ke badle kuch paana hi maksad nahin hota..............
Rishte, ab tak ke sabse suchhe aur sabse anmol heere.
Kabhi ankhon mein ansun dete hain aur kabhi is duniya mein jeene ka Maksad
Jab tanha rehkar socho to sirf yahi khayal aata hain ki
""""Saathi na karwan hain, yeh tera imtihan hain..
Yun hi chalachal dil ke sahare, karti hain manzil tujhko ishare
dekh kahin koi rok nahin le tujhko pukarke""""
Har pal ka yeh dhoka , ki main tumhare saath hun
Jabki aankh khulne par to apna saya bhi saath chod jata hain
Us par kisi ka har baar yeh kehna ki woh to yahin hain, jabki unki parchai tak bhi saath nahin hoti
Socho, aur batao. ki koi yeh bata sakta hain ki Rishte ki kasoti par har baar utarna kya such mein zaruri hain, jabki woh rishte sirf ankhon mein aansun aur dil mein dard hi dete hain..........
Still trying to get the answer for this from anyone close to me or close to the reality............

Tuesday, March 9, 2010

Love means Freedom

This quote does not mean that you take no effort if everything is falling apart. You know I don’t think it is a good idea to take any quote or any idea for that matter on face value and taking it at face value or dogmatically, everything can have some good meaning no matter how little.
To sum up it means allow your partner to be free, trust him/her, love him/her unconditionally (that way free), don’t become so possessive that it becomes a liability. You know after a point most people become over-expecting, some even start doubting slightly and want more attention just because they think that he/she is giving more attention to other people and things and that is one reason that can lead to a downslide in relationships. A relationship can only bloom when there is mutual trust and respect for each others individuality. If there is mutual trust then a person would never worry about the things I mentioned in the previous sentence and would avoid insecurity. It has nothing to in my humble opinion with leaving a partner “free” in other meanings.

My question about this quote is really “how much “freedom” does one need before s/he comes to her/his sense just to realize that the other person has already moved on.” They move on not because they don’t love the other person but because time and the discovery of oneself happened to move a little quicker. If you decide to try again later, how will this “seperation” be added into the equation…positive or negative…I guess it really depends on the couple…still confused

What you can do?????

What should you do, when someone is not able to understand you???
What should you do , when someone is not listening to you and always want to overhear your saying?
What can you do when someone is pretending that he is listening however, his actions are irritating you??
What can you expect from someone who breaks his promises everytime and still say that he will fulfill his promise?
What can you dream of apart as the most loveable person of your life is the one who is responsible for most of the pain gifted to you?
Last but the least, What shall you do, when you see that person coming back and forth and still gives you tears and pain, and still says that he loves you the most and with utmost honesty?

So called Love

People say "i love you" to someone, maybe without thinking as to what they are saying and why they are saying these 3 precious words.
I believe, i may be wrong or getting to much involved, no offence though. But still, Few people just dont understand what they try to prove when they say I love you without getting into the depth of the meaning of these words and why ethy do it
More often than not I guess the first time someone murmurs the ‘I love you’ words they are out of infatuation, or with ulterior motives, or as in most cases as a response to someone’s murmurs (whose murmur is attributed to Reason 1 & 2!). Subsequently these murmurs slowly become a ritual, words that must be exchanged! I know this sounds funny, but hey think about it. Do we always know if we really love the person we think we love? Do we always mean it when we say it?
Love makes life more meaningful, lively and most importantly a reason to survive, i know it has been proved the other way for few people. however we cant just be so negative about the fact that everything in this world holds two faces, one is good and the another is bad. What comes whom way depends on their share of destiny and deeds.
Love is something which should happen in everyone's Life with the meaning of positiveness and feeling of livelihood.
Best of luck to all out there who has not get the opportunity of feeling the wonderful pleasure of True Love.

Ek Ulfat

Aaj jo aaye hum yahan to yaki hua ki chehre ki suchai kya hain
Jo kabhi apne na the, unhe hi apna aaina samajh baithe the hum

Zindagi us safar par nikle the jahan kabhi sirf rahe hi hamara intezaar karti thi
Aaj jab wapus gaye to jana ki koi aur bhi tha hamare intezaar mein

Jiska kabhi hum sirf sapno mein zikr karte the aaj unhe apne saamne paaya to jana ki sapno ko haqiqat mein badalte hue dekhne mein kaise ehsaas hota hain
sapne to bus sundar dikhte hain par haqiqat se jo saamna hua to zindagi ka ek naya matlab samajh pai

Kisi ko chahne aur sirf chahne mein jo sukh hain woh shayad usse hamesha apna banane mein bhi nahin. sirf chaho itna ki woh insaan sirf aapka aur sirf aapka hi bankar reh jaye
na use kabhi khone ka darr ho aur na hi usse door jane ka darr.

Ise hi kehte hain shayad deewana pan

Sweet baby this is for you, just for you!!!!!!!