Tuesday, March 9, 2010

Ek Ulfat

Aaj jo aaye hum yahan to yaki hua ki chehre ki suchai kya hain
Jo kabhi apne na the, unhe hi apna aaina samajh baithe the hum

Zindagi us safar par nikle the jahan kabhi sirf rahe hi hamara intezaar karti thi
Aaj jab wapus gaye to jana ki koi aur bhi tha hamare intezaar mein

Jiska kabhi hum sirf sapno mein zikr karte the aaj unhe apne saamne paaya to jana ki sapno ko haqiqat mein badalte hue dekhne mein kaise ehsaas hota hain
sapne to bus sundar dikhte hain par haqiqat se jo saamna hua to zindagi ka ek naya matlab samajh pai

Kisi ko chahne aur sirf chahne mein jo sukh hain woh shayad usse hamesha apna banane mein bhi nahin. sirf chaho itna ki woh insaan sirf aapka aur sirf aapka hi bankar reh jaye
na use kabhi khone ka darr ho aur na hi usse door jane ka darr.

Ise hi kehte hain shayad deewana pan

Sweet baby this is for you, just for you!!!!!!!

No comments: