Monday, July 30, 2007

rangon ki mithaas

zindagi ko jab bhi dekha ,ek anokha rang.
chaha ki khud ko us rang mein bhigo lun,
utar jata hain jahan zindagi ki,nami ka saamna ho jata hain.


hazaron sitaron ke rang apne daaman mein bharke rakhe hain,
par phir bhi yeh daaman khali aur veeran hain.
rangon se yeh mehfil rangeen aur mast hain,
bina kisi rang ke sirf udasi aur veeranapan hain.

aur kya kahun,jab tanhai aaye to saath roshni bhi chod jati hain,
aur jab khushiyan apne aanchal mein sama jati hain to kafila sa ban jata hain.
dil-e-nadaan ko kaise bataun,jinke justuju se ekraar-e-mohabbat hain
woh to mehfil-e-shama mein khoe hain,hosh kaise dilaun
jab khud hi us mehkasar mein madhosh hun.

maikhane ko jane ko dil chahta hain par is dil ko kaise samjhaye
ki sharabi ko maikhane ki kya zarurat jab,nazron se hi roz kaatil kar diya jata hain,
ek jaam aur,ek jaam aur,har jaam par ek mehkashi,har khayal par unki yaad,
aur har ek ghoot par ek tinka aansuon ka,jinhe sukha pana namumkin hain.

bus yahin par ek aur aarzun,jo dil-e-tamanna par barkaraar hain,
yunhi chala ja us ki aur,jo door se apna dikhta hain,
aur pass aane par anjaan ho jata hain,us insaniyat ka kya kahen,
jo aoron ke saamne to takalluf nahin karti,
par tanhai mein akelepan ka ehsaas kara jati hain.

bus aur ek yaad...........................
bus aur ek yaad...........................

Saturday, July 28, 2007

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE....

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE....

Koi tumhare hawaason per chah jaye gi
Koi tumhain pyaar main baha le jayegi
Koi do din ki khushi dekerSaari ummer ki JUDDAYI de jaye gi

KYA KABHI SOCHA THA TUM NET

tum kabhi kisi se pyaar karoge
Us ka iqraar karogeUs se izhaar karoge
Saari ummer us ka intezaar karoge

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE

Kabhi bethe bethe muskuraoge
Kabhi yun hi rone lag jaoge
Kabhi soch ker kuch khamosh hojaoge
Kabhi kisi waade per mukur jao gai

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE

Kabhi kisi se tum rooth jao ge
Phir khud kisi ko itna manaoge
Kisi ke itne qareeb hojao ge
Tum kisi per itna mar jao ge

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE

Jo aaj tak na kiya woh hi kar jaoge
Kabhi us ki tasveer ko baar baar dekhoge
Kabhi us ki shairi ko aankhon se lagaoge
Kabhi us ki yaad main so na paoge

KYA KABHI SOCHA THA TUM NE

Kabhi Us ki kahi hur baat yaad karo gai
Kya tum kisi say itna pyaar karo gai ???...

kushi jo ek pal ki thi

ujalon ki jo mili raah to kudse hi anjane ho chale
aaj jo alam hain hamra,kabhi kisi aur ka hua karta tha.

ek raaz aur hazaro hasratein,
ek maikhana aur hazaron sharabi.

thoda jo tha daaman mein to kum tha,
bohat jo aaya to duniya ka hi sukoor ho gaya.

zindagi jise deti hain kum deti hain,
par maut jab deti hain to insaan ko aakhari khawahish bhi de jati hain.

rishton ko jo nibhana jan jaye,woh hi aarzuon ko jeet sakta hain,
par rishton ki haar aur unki takraar kisi ko nakabil bhi bana deta hain.

suna tha pyar pyar ko kat ta hain,
aur zeher zeher ko,par koi bataye to sahi,rishton ko bachane ke liye
kis dard-e-dava ka josh diya jaye,to rishton ki umar badai jaye.

zindagi ka maza jo sukh mein milta hain kahan na kahin woh sukh dukh
mein bhi milta hain,chahe woh apne mein samaye ho aur aoron ko na bataye.

zindagi ka luft to sabhi uthate hain woh jo do waqt ki roti khate hain,
aur woh bhi jo sara din kaam karke raat ko bhooke soo jate hain.

Ab Zakhm Haye Dil Ka Kahan Tak Shumar Ho
Yeh Zakhm Tu Shumar Ki Had Say Ghuzar Gaye.

Ehsaas Mar Chuka Hai Khushi Hai Na Gham Koi
Jaisey K Jeet Haar Ki Had Say Ghuzar Gaye .

zindagi ke kuch lamho ko guzaar kar kuch lawz mere dil se.....

aadamii aadamii ko kyaa degaa jo bhii degaa vahii Khudaa degaa
meraa quatil hi mera a masehah hai kyaa mere haq mein faisalaa degaa

zindagii ko kariib se dekho isakaa cheharaa tumhen rulaa degaa
hamse puchho dostii kaa silaa dushmanon kaa bhii dil hilaa degaa

ishq kaa zahar pii liyaa humneab masiihaa bhii kyaa davaa degaa
ishq ka pyala aur bhi dega sirf kuch mithee yaadein aur kuch udasi se bhare pal.

Sunday, July 22, 2007

ehsaas

ehsaas jo insaan ko jeena aur marna sikha deta hain,
aise ehsaas ko hamara salaam.

pyar ka ehsaas aisa kushnamah hota hain,
mano duniya ki sari kushnaseebi mil gai ho.

rishton ko jabse jana,tabse mana ki rishten ek lamhe ki khushi de jaten hain,
par sath hi sath ,zindagi bhar ki yaadein bhi den jata hain.

haalaton se jo samjhota karle,woh hi insaan kushi-e-taqdeer pa leta hain,
jo darr kar bhaag jaye,woh kadmon par aaye kushiyon ko kho deta hain.

yek khatm ho to dusri yaad aa jati hai ,hothon pe fir bhoole huyi
baat aa jati hai.do nainon ke hain ye kahani.
jin armano ko sanjo ke rakha tha,aaj woh hi kehte hain,
ki kaun hain is raste ka humrahi......

Saturday, July 21, 2007

ujalon ka jo mile sahara

ek roshni jo kisi ke andhere ko door karde
haan woh hi ujala jo kisi ko zindagi,to kisi ko umeed de jata hain.

is pyar ke rang to dekho jo humein sehna,bolna,
pyar karna aur apna sab kuch gawana sikha deta hain.

it s well said that love can teach u how to depart,
how to bear all the sorrows and pain of ur loved ones.

love can be voilent,peaceful,imaginative,
but the feeling that will really push u to do something
is the feeling of giving utmost love,care and belongingness
to one that ur living for.

life is endless,even after we die ,we live different phases of our life.
so who says that we will never meet after death.

there is a different re-union of urs with ur beloved,
which cant be touched,cant be illustrative and cant be explained,
it can only be imagined,feeled,smelled by those souls who are into it,
with the great care,emotions,feeling of only deliver but no selfishness.

yun hi kabhi sochti thi,ki is duniya mein jo gar mohabbat na hoti to kya hota,
par aaj zindagi ke is mood par akar sochti hun,jo is se bach gaya ,
samjho jee gaya.
aisa nahi hain,ki mohabbat har bar kisi na kisi ko barbaad hi karti hain,
par yeh jo mohabbat hain,sirf de sako to jeet gaye,
jahan kuch paane ka ehsaas bhi aaya,tabah-e-manzil par ja khada karti hain.

bus yahin hain pyar ke sunehre rang,
jo jeena bhi sikhati hain,
aur kisi ko marna bhi.

pyaar................ek zindagi...................ek maut

jinko aati hain masihai

mujhse mera kya rishta hain,har ek rishta toot gaya.
itne aaine dekhe hain,sabka chehra bhool gaya.

har ek baat par nikalti hain aah,kise awaaz dun.
har ek saans se palti hain unki yaad,kise armaan dun.

jo insaan kisi kabil tha,uske armaan jala kar shayer bana diya.
ab kehten hain ki duniya ka muquabla kar,kise awaaz dun.

yun to kehne ko muquaddar -e-duniya ne ajab se rang dikhaye hain.
jab aah par ban aaye,to dekhte hain,koi nahin sahare ko.

apne aap par jo kasar na nikal paye,to auron se kya gila.
apne hi hathon jo tabah kiye apne armaan,to auron se kya shikayat.

yeh duniya bhi ajeeb hain ,aur ajeeb hain iske panthi,
har dagar,har mood,har raah,ek naya saya,ek naya dokha.

yahin hain...yahin hain....yahin hain...iski sachai
jo na to maane mani jati hain,aur utare utari jati hain.

jo rahi,humrahi bankar chalne ka waada kar jate hain,
woh hi agli raah par,kisi aur ka haath thaam lete hain.

jo sapne apni aankhon par sajaye the humne,
kisi aur ki panah par palte dekhe hain humne.

abhi ke liye to bus ansuon ka saath hain mujhe,
kisi se suna tha kabhi,ki apne ansun hi apne zakhmon ko sukha deta hain.

*******************************************************************

Wednesday, July 4, 2007

tanhaiyan

zindagi hain to rishtey bhi honge
rishtey honge to ehsaas bhi hoga
ab jo ehsaas hoga to dard bhi hoga
zindagi ke sab rishtey kabhi na kabhi tanha kar jate hain
is dil-nadaan ko kaun samjhaye ki....................

yun to pyar ne bohat kuch sikhaya hain
ek nakare ko galib bhi banaya hain
ab is kushi se ki tanhaiyan bhi meethi yaadein de jati hain.

koi duniya ke naye rangon mein bhi kush re jata hain'
aur koi sab kuch kho kar bhi hasta rehta hain

dil ke nishan jo humne apne zahen par khaye hain yaaron
na jatakar bhi kuch loog jaan jate hain

jis insaan se juda hue zamane beet gaye
ab bhi umeed hain ki kabhi ,kabhi to unhe hamari yaad aayegi.

aur kya kahun kisi ke aane ka ehsaas hi kisi ko jeene ki aas de jata hain
aur kisi ke sab kho jane se hi zindagi ruk si ,sahem si jate hain.

love will make u strong,will make u bear immense pain
but at the same time ,also teach u how to become a companion of ur own.

love will never let u shattered unless and untill u will do it deliberately
thats wat a true love will be.
even if u remain all alone and keep on missing ur beloved
the sweet moments will bring tears in ur eyes
juz to tell u,that ur not alone ,u have ur own cherished moments to accompany u.

love will teach you how to kill oneself
it also teach you how to feel other's pain and concern
it will make u responsible and also make u more stable and concerned.

jisne pyar kiya ho woh hi jaan sakta hain ki dard kisi kehte hain
apne sathi ke sath rehte hue dusron ko tasalli dene bohat aasan hain
sahin dard to woh hi jaanta hain jisne kuch khoya ho.

jisne sab kuch khokar kuch paya ho usse zyada aur koi kadr nahi kar sakta .

jaise jise rooz khane ko milta hain
woh kya jane kisi ke liye roti ki kya ehmiyat hain.
par jo do din se bhookha hain
sirf woh jaanta hain ki jali hui roti ki bhi kya ehmiyat hain.

Tuesday, July 3, 2007

dariya ke us paar

jis par hum hain us par woh nahin,par jab us par jao to mohabbat ke rangeen lamho ka andaza hota hain.us dariya mein doob jane ka dil chahta hain.

jiska rang utare nahin utarta.jiska nasha tode nahin tootta,aur kya kahun.zindagi bhi ek aisa hi nasha hain.aaj zinda hain to rangeen samahain,jate hue rang bhi berang ho jate hain.

kabhi yun bhi to ho,dariya ka sahil ho,hoor chand ki aas ho aur tum aao.
kabhi yun bhi to ho.

kabhi khamoosh baithoge ,kabhi kuch gungunao ge.
main utna yaad aaungi,mujhe jitna bhulaoge.

kuch panno ke lavzon ko jana to samjhi is duniya mein kaun hain jo dukh se mukhafil nahin.

to kehti hun:

woh kaun hain,duniya mein jise gum nahin hota,
kis ghar mein khushi hoti hain,matam nahin hota.

jana ki gar zindagi hain to khushiyan hain,woh hai to dukh bhi hain.
jo chahta hain woh dukh bhi pata hain.

jo pata hain woh sukoon bhi kar jata hain.
bus ek khushi jo ankhon mein nami bhar den,us khushi ka intezaar hain.

apne pyar ko yaad karke sirf kuch lavz yaad aate hain:

tum ye kaise judaa ho gaye ,har taraf har jagah ho gaye .
apna chehra na badla gaya aur aaine se khafa ho gaye.


samajhate the magar phir bhii na rakkhii duriyan humne.
chiragon ko jalene mein jala ji ungliyan aapni.

na samjhe the woh kyun na kar sake wafa ke ujale rahe-mohabbat mein.

pyaar ke rangeen lamhe

Kisi ne thek hi kaha hain,ishq kar aur kuyen mein dal.kyunki is duniya mein bhalai karne par to koi pehchanta nahin hain.
par burai karne par sab jaan jate hain.

dil ne kaha dil se de de de de sirf deta ja ,aur paane ki koshish na kar,kyunki jahan kuch paane ki chahat rakhi .wahan se siway rusvat ke aur kuch nahin milega.

baad muddat unhe dekh kar yun laga,ki jaise gulshan mein mano bahaar aa gaye.
har chaht ka ek raaz hota hain,aur har raaz ke koi humraaz.

en hamrahiyon se koi jaane ki zindagi ke nashe mein jo aks nazar aata hain woh to sirf peene wale hi jaante hain.
ruk ruk ke jo chale woh girta kum haain,aur jo gir gir ke sambhle,uska tajurba to bus kabil-e-tariff hota hain.

us mukaam tak jo akar ruke to nashe woh kuch aur hi maza hain.manzil der manzil badalti jati hain,har ek rahi ki.

BUS YUN HI

aaj dil ne kaha bus yun hi likh ,jo dil mein hain,jo zehan mein hain.
kisi se kehne ka kya faayda,kyunki har koi karta to wohi hain jo use karna hota hain.

dil ki baat jab tak dil mein rehti hain ,dil ko sukoon kahan milta hain.par jab wohi baat kisi apne se keh di jati hain,to dil-e-jahan ko aabdh mil jata hain.

dil ne en lavezon ko mehsoos kiya:

khuda humko aise khudai na den,ki apne siva kuch dikhai na den.

beshak mere naseeb mein ,rakh apna ikhtayar.

lekin mere naseeb mein, kya hain bata to de.

hason aaj itna ki is shoor mein,sada siskiyon ki sunai na den.

insaan jo chahta hain woh use kabhi nahin milta,jo nahin chahta woh hamesha milta aur hota hain,par phir bhi ,jab aapne aap ko un haalaton ke saath jasb karta hain ,to yeh zindagi aur lamhe bhi dokha de jate hain.

woh shaam kuch ajeeb thi,yeh shaam bhi ajeeb hain,
woh kal bhi paas paas the,woh aaj bhi kareeb hain.

kissa mohabbat-e-aarzoo ka kisi sunaye,dard yahan bhi hain ,aur dard wahan bhi hain.
dard-de-gum kissi kahen,aankhon mein aanson yahan bhi hain aur wahan bhi.

karat to hain dil ki khushiyon -ke taabooton ko jaldi se apne dil mein dafan karle,
par tooti deewaren yahan bhi aur wahan bhi.


maut ka jasba jinse mila humein,woh hi ab kehte hain,zindagi ka maaza marne mein kum aur jeene mein zyada hain.ab to yahin tassavur hain humein ki zindagi jeeye ja aur khuda-e-illm ka ehsaas kiye ja.