Tuesday, December 16, 2008

Zindagi to Bus Yunhi

Zindagi to bus yunhi hi chalti rehti hain, kya kahun ki jab main hi nahin jaanti ki mujhe kahan jana hain,
Kal subah jab walk ke liye gai to mano jaise koi mujhe rook raha ho aur apni aur kheech raha ho, sirf isiliye ki kuch yaadein bhi agar taazi ho jayen to bus dimaag par koi kabu nahin rehta ,
Sirf dil ka hi zoor hota hian, pyar bhi ajeeb hain kabhi to aata hina zindagi mein dhair sari khushiyan laata hain kabhi to insaan ko bus tanha kar jata hain.
Humsafar to bohat mil jate hain par aisa koi jo zindagi bhar ke liye aapke saath rahe, aapki khushi mein apni khushi paayen, aur aapke dukho mein aapka saath de saken, aur kabhi bhi aapko tanha na hone den……..

Jab us subah main ek song sun rahi thi to lag raha tha mujhe jaise ki purani yaadein mujhe jaise apni aur le ja rahin ho. Par phir bhi jo kabhi saath chalne wale aaj nahin hain, to tanha phir kaise en faaslo ka rasta mukammal kar sakte hain.

Reh jata hain phir se ek insaan akela , tanha aur bus kuch yaadein jo uski zindagi mein uska saath detin hain, bus who hi hain humsafar hamara so humein rulati bhi hain aur hasati bhi hain………….
Dil ka ehsaas hi kuch aisa hain jo saath hain who hi sabse khushnamah hain, par jo door hain, uski hi yaad dil ka har pal ghere rehti hain. Aaj ka ehsaas hi kuch aisa hain ki koi uske bahane saari zindagi bhi guzaar sakta hain.dil ki baat to apne aap se hi karni hoti hain jab hote hue bhi koi paas na rahe .
Jalne walo ko hum sholey kehte hain , par jo judai ka gum kisi ke dil mein jal raho ho to use hum bhuje hue diye kyun kehte hain? Jo aag ko jeekar nikal jaye, use hum shama kehte hain par wohi shama jab apne aansuon ko pee jati hain , to use hum jeene ka huzm kyun kehte hain. Aakhir kyun aakhir kyun!!!!!!!!!
Dil ki zubaan har koi samajh paaye , yeh to zaruri nahin par phir bhi hum kyun har kisi se umeed karte hain ki pyaar har koi samajh paye aur ehsaas kar paye. Yun to is jahan mein zaruri nahin ki jo chaho who mil jaye par phir bhi insaan chahna to nahin bhool jata, jaise koi gir gir kar khud hi sambhal jana sikh jata hain waise hi na chahte hue bhi is duniya ki jagmagahat insaan ko aur matlabhi aur shaukeen bana deta hain. Kya kar sakta hain ek majboor insaan jiske paas na to koi maksaad hain aur na hi koi kaaran jeene ka.phir bhi jiye jata hain is zindagi ko, bina kisi sahare ke bina kisi chahat ke, aur bina kisi maksad ke!!!!!!!!!!!

Wednesday, March 26, 2008

Kuch such Kuch Jhooth

Zindagi to bus yunhi hi chalti rehti hain, kya kahun ki jab main hi nahin jaanti ki mujhe kahan jana hain,
Kal subah jab walk ke liye gai to mano jaise koi mujhe rook raha ho aur apni aur kheech raha ho, sirf isiliye ki kuch yaadein bhi agar taazi ho jayen to bus dimaag par koi kabu nahin rehta ,
Sirf dil ka hi zoor hota hian, pyar bhi ajeeb hain kabhi to aata hina zindagi mein dhair sari khushiyan laata hain kabhi to insaan ko bus tanha kar jata hain.
Hunsafar to bohat mil jate hain par aisa koi jo zindagi bhar ke liye aapke saath rahe, aapki khushi mein apni khushi paayen, aur aapke dukho mein aapka saath de saken, aur kabhi bhi aapko tanha na hone den……..

Jab us subah main ek song sun rahi thi to lag raha tha mujhe jaise ki purani yaadein mujhe jaise apni aur le ja rahin ho. Par phir bhi jo kabhi saath chalne wale aaj nahin hain, to tanha phir kaise en faaslo ka rasta mukammal kar sakte hain.

Reh jata hain phir se ek insaan akela , tanha aur bus kuch yaadein jo uski zindagi mein uska saath detin hain, bus who hi hain humsafar hamara so humein rulati bhi hain aur hasati bhi hain………….
Dil ka ehsaas hi kuch aisa hain jo saath hain who hi sabse khushnamah hain, par jo door hain, uski hi yaad dil ka har pal ghere rehti hain. Aaj ka ehsaas hi kuch aisa hain ki koi uske bahane saari zindagi bhi guzaar sakta hain.dil ki baat to apne aap se hi karni hoti hain jab hote hue bhi koi paas na rahe .
Jalne walo ko hum sholey kehte hain , par jo judai ka gum kisi ke dil mein jal raho ho to use hum bhuje hue diye kyun kehte hain? Jo aag ko jeekar nikal jaye, use hum shama kehte hain par wohi shama jab apne aansuon ko pee jati hain , to use hum jeene ka huzm kyun kehte hain. Aakhir kyun aakhir kyun!!!!!!!!!
Dil ki zubaan har koi samajh paaye , yeh to zaruri nahin par phir bhi hum kyun har kisi se umeed karte hain ki pyaar har koi samajh paye aur ehsaas kar paye. Yun to is jahan mein zaruri nahin ki jo chaho who mil jaye par phir bhi insaan chahna to nahin bhool jata, jaise koi gir gir kar khud hi sambhal jana sikh jata hain waise hi na chahte hue bhi is duniya ki jagmagahat insaan ko aur matlabhi aur shaukeen bana deta hain. Kya kar sakta hain ek majboor insaan jiske paas na to koi maksaad hain aur na hi koi kaaran jeene ka.phir bhi jiye jata hain is zindagi ko, bina kisi sahare ke bina kisi chahat ke, aur bina kisi maksad ke!!!!!!!!!!!1

Tuesday, February 12, 2008

Jhooti Umeedein

kuch log sirf jhoothi umeeden dena hi jaante hain...
kitna bhi chaho ki is manzar ka saamna na ho, par phir bhi kismat ki lakiron mein
likha koi kaise mita sakta hain...
jiska sukoon aankhon par sama kar rakha ho, woh hi jab dil ke ashiyane ko tod den
to kya kahen, yeh to manzar-e-toufa ho jaye phir....

kitna bhi samjhaye is dil ko, kahin na kahin kisi na kisi par narm ho hi jata hain,
such hi kaha hain kise ne,duniya khuda ne banaye,
har kisi ko kuch na kuch baksha,kisko kya mila yeh to uske karmo ka tassavvurrr hain.....

jis arma par naaz ho jashn-e-khayal ko, us dil-e-arzoo ko hi koi tabah kar de..
to kya kahen, is duniya ka dastoor hi kuch aise hain
jo sabko khushi den,use yeh duniya sirf ankhoon mein aansoo hi deti hain
jo sabko dard de, uske mujahid yeh duniya khud ko makraar kar deti hain.....

ankhoon ki narmi ab dikhaye kise, hoonthon ki saymiyat ab jataye kise...
dil mein jo toofan uthta hain, use dabaye kaise,dil ke arzoo hi jab mukammal ho napaye
to apni rooh ka dard jataye kise.

dil ki yeh arzoo thi koi dilruba mile
lo ban gaya naseeb ki tum humse aakar mile
dekhe humein naseeb se ab apne kya mile
ab tak to jo bhi loog mile , bewafa mile.

ankhon ko ek ishare ki zehmat to dijeye
gum ko gale lagalun jo ,gum aapka mile
dil ka jo dard hain khud mein sama lun.

humne udasiyon mein guzari hain zindagi...
lagta hain darr fareb-e-wafa se kabhi kabhi
aisa na ho ki zakhm koi phir naya mile

kal tum juda hue the saath chodkar
hum wahan khade hain aaj bhi aanchal luta ke
humko is intezaar ka koi sila to mile jab tak saanson ka saath hain

unhi bus jiye ja rahe hain, jab tak koi mukkamal-e-jahan nahin milta
*****************************************