Friday, August 24, 2012

Unforgettable Moments of 16yrs

Such to yeh hain ki Zindagi ne yeh ehsaas dila hi diya aaj humein
Jab tum the to sab tha , aaj tum nahin to kuch bhi nahin
Kuch Bhi Nahin......

Those 16 yrs of our life was so beautiful that now when you left me all alone
Life seems to be at a standstill and not moving anywhere
Tried and i tried my best, unable to find any road in this darkness around

You were there and been there all when i needed you the most and the least
Now when i need you badly, all i have is our unforgettable moments of love and support
I need you and i Need you the most
come back, come back if you can
Trust me if that is going to happen, i will never ever ask for anything more
never and ever......

Zindagi ke falsafe jo humne bayaan kar diye
to mano ek andhera sa chaa gaya aas paas
Tum jo nahin to koi nahin apne paas
Aisa kya kho diya maine jo chah kar bhi mera nahin ban saka kabhi

I learnt it hard way so i understand the pain of losing
I owe you all those years that we have been together
Now and forever
When you reached, no one else can ever reach
the togetherness and the bonding we shared, it will never be shared with anyone else

my dedication and all my love is for you and will always remain.

love you loads and love you as always.........

Aaj Phir Tum yaad aaye... Aise aaye jaise.....

Kahan ho tum jahan hum nahin aa sakte
dil yahan hain par dhadkan na jaane kahan kho gaii
Saansen hain mujh mein par lagta hain jaise main zinda nahin

Khuda to hain aas paas, par woh dikhta nahin
Tum bhi ho aas paas, par kyun nahin mehsoos hote mujhe
Aaj bhi utni hi akeli hun jitni aaj se 2 saal pehle thi

aansun hain jo rukte nahin aur dil hain jo tumhe yaad na karne se maanta nahin
thakti nahin hun main tumhe yaad karke
beinteha mohabbat hain tumse
aur tum ho jo paas nahin
kahin nahin.........

Dil ki yaadein hain jo behne se jaati nahin
Gum abhi soya hain , par use jagaye kaun
Jahan ankahi batein tum sun lete the
aaj woh jo apne hain, kya woh such mein mere apne hain
Dil ko sukoon ki talash hain
ek aise kandhe ki zarurat hain, jispar main apna sir rakh thodi deir araam kar sakun

Kaun sunta hain kisi ki, aur kahan main kisi ko aazmaun
jab main khud jaanti hun, ki saya bhi dhokha de jaata hain
Ab kuch sukun hain to sochti hun ki kuch pal bhool jaun
par tum yeh batao ki main tumhe kaise bhoolun
kaise bhoolun woh pal jo maine tumhare saath ek bitaye hain
kaise bhoolun woh yaadein jo humne ek saath jiii hain

aaj phir dil kuch udaas hain aur tumhari yaad hain apne aas paas
Dekhna yeh hain ki kya tumhare siwaye mujhe aur koi yaad aata hain
Tum ho yahan par dikhte kyun nahin
Tum ho aas paas, par ehsaas kyun nahin

kyun nahin......
kyun nahin......