Tuesday, December 16, 2008

Zindagi to Bus Yunhi

Zindagi to bus yunhi hi chalti rehti hain, kya kahun ki jab main hi nahin jaanti ki mujhe kahan jana hain,
Kal subah jab walk ke liye gai to mano jaise koi mujhe rook raha ho aur apni aur kheech raha ho, sirf isiliye ki kuch yaadein bhi agar taazi ho jayen to bus dimaag par koi kabu nahin rehta ,
Sirf dil ka hi zoor hota hian, pyar bhi ajeeb hain kabhi to aata hina zindagi mein dhair sari khushiyan laata hain kabhi to insaan ko bus tanha kar jata hain.
Humsafar to bohat mil jate hain par aisa koi jo zindagi bhar ke liye aapke saath rahe, aapki khushi mein apni khushi paayen, aur aapke dukho mein aapka saath de saken, aur kabhi bhi aapko tanha na hone den……..

Jab us subah main ek song sun rahi thi to lag raha tha mujhe jaise ki purani yaadein mujhe jaise apni aur le ja rahin ho. Par phir bhi jo kabhi saath chalne wale aaj nahin hain, to tanha phir kaise en faaslo ka rasta mukammal kar sakte hain.

Reh jata hain phir se ek insaan akela , tanha aur bus kuch yaadein jo uski zindagi mein uska saath detin hain, bus who hi hain humsafar hamara so humein rulati bhi hain aur hasati bhi hain………….
Dil ka ehsaas hi kuch aisa hain jo saath hain who hi sabse khushnamah hain, par jo door hain, uski hi yaad dil ka har pal ghere rehti hain. Aaj ka ehsaas hi kuch aisa hain ki koi uske bahane saari zindagi bhi guzaar sakta hain.dil ki baat to apne aap se hi karni hoti hain jab hote hue bhi koi paas na rahe .
Jalne walo ko hum sholey kehte hain , par jo judai ka gum kisi ke dil mein jal raho ho to use hum bhuje hue diye kyun kehte hain? Jo aag ko jeekar nikal jaye, use hum shama kehte hain par wohi shama jab apne aansuon ko pee jati hain , to use hum jeene ka huzm kyun kehte hain. Aakhir kyun aakhir kyun!!!!!!!!!
Dil ki zubaan har koi samajh paaye , yeh to zaruri nahin par phir bhi hum kyun har kisi se umeed karte hain ki pyaar har koi samajh paye aur ehsaas kar paye. Yun to is jahan mein zaruri nahin ki jo chaho who mil jaye par phir bhi insaan chahna to nahin bhool jata, jaise koi gir gir kar khud hi sambhal jana sikh jata hain waise hi na chahte hue bhi is duniya ki jagmagahat insaan ko aur matlabhi aur shaukeen bana deta hain. Kya kar sakta hain ek majboor insaan jiske paas na to koi maksaad hain aur na hi koi kaaran jeene ka.phir bhi jiye jata hain is zindagi ko, bina kisi sahare ke bina kisi chahat ke, aur bina kisi maksad ke!!!!!!!!!!!