Wednesday, September 26, 2012

Kehte Sunte Lamhe

Kuch Lamha aisa bhi jo khamoshi mein bhi kuch suna Jata hain
Kuch Lamha aisa bhi jo kisi ke paas hone ka ehsaas de jata hain

Aaj Shaam se kisi ka intezar tha, aur jane kahan unka khayal tha
Shaam ki chaun kuch aise thi jo lamhe khud-b-jhud hi guzar gaye
Woh aaye bhi nahin aur humne unse mulaqat bhi karli

Intezar aisa hain jo kaate nahin katta, aur ghumar aisa hain jo jaate nahin banta
Is dauran kuch aisi baatein ban jaati hain jo dil ko ajeeb si khushi de jaati hain

Har shaam unka intezar rehta hain, Har baat par unki ajeeb se muskurahat hain
Na jaane phir bhi kyun aisa lagta hain, ki woh wahan hain aur hum yahan

Dooriyon ka ehsaas khatm hua hain ab, kareeb aane ka waqt banta nazar aa raha hain
Na jaane kab unse mulaqat hogi, nazren bechaaye hum rah par jo baithe hain........