Monday, October 5, 2009

Kuch Ehsas

Hum phirse aa baithe hain ankhon mein ansun liye.
Kyun kisi se koi umeed hoti hain jab pata hain ki akhir mein siway ansuon ke aur kuch nahin milega
Kyun Kyun main bhool jati hun yeh sab

Aaj Phir se unki yaad aai to jana ki shayad unke saye mein unki yaadon mein hi rehna sabse theek rahega
Kisi se do pal baat kar lo to samajhte hain ki shayad woh jo kehte hain woh hi sahi hain
Insaan doosre insaan ko nahin samajhta aur kehta hain ki Insaan jaanwar se achha hain

Duniya ka dustoor hain jab kisi pe wishwas kiya usne siways ansuon ke aur kuch nahin diya
Aur phir kehte hain ek bar bharosa karke dekho
Kya Bharosa sirf ek shabd hain uske koi maine nahin uska koi matlab nahin
Uski koi ehmiyat nahin

Chal phir se wapus chale apni duniya jahan kisi ke kuch karne se ankhein namm to nahin hoti
Chal phir chale apni duniya jahan sirf pyar aur bharosa hain aur koi umeedein nahin kisi se bhi
Chal Chal..........................

Friday, March 20, 2009

Ajeeb duniya ke Ajeeb Rishte

Pata nahin kyun duniya mein yeh Rishte hote hain jab woh kisi ko Samajh nahin paate
Jinke naam apna sara Jeevan kar diya ho aur phir bhi unka Saath na mile to socho kaisa lage
Main kuch Movies dekh rahi thi peechle dino "Beethowen", "Air Bud","Air Buddies","Family Matters". Oh god Kya understanding hain en sunder sunder cheezo ki jinhe Khuda ne itne Pyar se banaya.
Insaan se zyada Wafadaar aur insaan se zyada Samajhdar
Na kisi ko dokha dete hain aur na hi koi Umeed.
Bus Ankhein thi jo Nam hone se ruk nahin Pa rahi thi
Kitna Sunder Tareeka, ek doosre se baat karne ka, ek doosre par Pyar Jatane Ka
Bus main to Dang hi reh gai, such Mano to Jitni upset thi
Sab kuch khatam ho gaya aur chehre par sirf Hasi hi reh gai thi
Kisi bhi Language wale ke paas yeh chale jaye unki bhasha khud ba khud hi seekh jaate hain
Na koi Bhasha Ka Problem aur na hi kisi Rishte ke tootne Ki Chinta
Bus apne mein hi gum rehte hain yeh pyare pyare Jeev khuda ke Banaye hue
Aur yahan, jinpar sabse zyada pyar lutao, woh hi ek din sara Pyar chakna Choor kar dete hain
Ek baar bhi nahin sochte ki doosre par kya beetegi, shayad yahi fark hain Enmein aur hum mein
Aur Kya Kahun, bus itna ki jitna chahun is Duniya ya zindagi se door jane ki
Utna hi Yeh apne Paas Kheech Leti hain, chah kar bhi kyun isse apne aap ko juda nahin kar pati
Kyun
Kyun
Par jaisa bhi, En Nonu's Ka Saath hain to bus chalta hi rahega yeh Anokha Safar..........

Monday, February 16, 2009

Kuch Lawz

Zindagi ki ajab kahani, jise na dekhna chahe use hi zindagi har mod par saamne lakar rakh deti hain
Har Mod par unse takraar ho jaati hain, Dil chahta hain ki phir kabhi bhi unse saamna na ho par kudrat ka likha kaun rok sakta hain
Mod kam pad jaate hain aur manzilen ruk si jaati hain
Har raasta kehta hain bata tujhe kiska Intezaar hain
Aur duniya ki ajab reet to dekho, Zindagi hain to saansen hain
Aur jo zindagi nahin to saansen bhi udhari ki leni padti hain
Apne pyar ko har pal apne saamne dekhne ke liye, kya bhala ek zindagi bhi kafi hain
Dil se poochoo to pata chale ki zindagi ke fhalsaho ko apne dil ke aaine se padne ki koshish to karo
Har pal ek naya such nahin raah par lakar rakh deta hain
Kisko jaan ne ke liye itne paalon ka saath ho who hi apne chehre se kab badal jaye
Khuda jaane
Humsafar ho ya na ho, gar koi aage badkar apna haath hi na thama sake to dil bhi kya sukoon den

Wednesday, February 11, 2009

Palon ka Mukaam

Yeh pal kahin rukta kyun nahin
Yaadon ko koi pehra khun nahin hota
Jab dava se bhi zakh na bhara jaye
To socho Aise mein aur koi kya kare
Har haal mein sirf ek nakami aur Udasi
Pyar aisa hota hain to kyun hota hain
Chah kar bhi kisi ko uska mukaam nahin milta
Har rahi ki manzil mukammal kyun nahin hoti
Reh jaati hain kuch yaadein aur ankhon mein Aansun
Aur who bhi aise waqt jab paas koi na ho unhe pyar dene ke liye

Thoda Pyar thoda Dhoka

Thoda Pyar thoda Dhoka
Jise chaho lagta hain jaise yeh sari kainat usi se shuru hokar usi par khatam ho jati hain
Par kyun kabhi aisa lagta hain, ki mera vishwas ek Jhooth sa sabit ho raha hain
Jiski Rah par intezaar karte subah se saanjh ho rahi hain
Usi ka Kuch pata nahin, use hamari koi parwah nahin
Kyun Kyun, sabke hote hue bhi ek akelapan sa hain
Dil udaas hain aur sirf unka intezaar hain
Phir bhi ankhein hain jo haarne ko raazi nahin
Sirf chahti hain jinhe hum chahte hain bus yunhi hard um nazron ke saamne rahen
Aur kuch bhi nahin, shayad dil ka ek bhram hain yeh aur kuch nahin
Shayad kabhi is sapne ki bhi subah hogi
Lekin jab hogi tab shayad is duniya se vishwas aur pyar mit chukka hoga
Har Bandhan har rishta pyar se saja kar dekh liya
Par Phir bhi kahin koi kami reh gai shayad jo ki is manzar ka kinara abhi bhi lapata hain

Ek Lamha Ek Haqiqat

Dil ke Haath koi kitna Majboor hota hain
Ki Rona chahe to bhi roh nahin sakta
Kisi yaad kisi ko kitna majboor bana deti hain
Ankhin mein aansun hain aur unka intezaar
Par unka kuch tassavurr nahin
Shayad yahi hain Sahi rah us pyaar ki jo asaan nahin
Aisa rasta kya jispar aansun na ho aur takleef na ho
Ansun bhi ajeeb hain, jab chaho tab aate nahin bewaqt aakar bus insaan ko nikamma bana dete hain
Kaash insaan apni marzi se roo or has sakta
Kaash is duniya mein koi bhi na dukhi hota , aur agar hota to uske paas koi na koi pyar karne wala zaroor hota
Such kaha hain khuda ne
Is duniya mein sucha pyar pana aur karna itna asaan nahin
Kisi ko kuch nahin milta sab mil kar bhi
Aur kisi kis ko sab mil jata hain kuch bhi na mil kar
Har hansi ke peeche kuch to dukh chupa rehta hain
Har ansun ke peeche kisi ki yaad….
Aaj dil udaas hain aur shayad yahin ek haqiqat bhi…..