Saturday, September 11, 2010

Intezar jo meetha bhi hain aur dard bhi deta hain

Aaj ka ehsaas sirf itna ki intezar karna kabhi achha hain aur kabhi dukh dai bhi
Unka intezar hain is umeed se kabhi to mud kar dekhenge ki hum bhi rahon par palke bichaye baithe hain
Par ehsaas yeh bhi hain ki aakhir yeh intezaar kab khatm hoga aur humein unka deedar hoga
Woh ehsaas jo sirf gale lag kar hi mil paye, woh pal kab aayge

Insaan to phir wahin hain, jahan kehta hain dil mein chah ho to raaste khud-b-khud aa jate hain
Phir yeh umeed kyun, ki jo chahe woh humein zaroor mile

Mohabbat insaan ko kitna badal deti hain, use dena bhi sikhati hain aur sehna bhi
Kabhi kisi ki ulfat ko, to kabhi kisi ki intezar karwati hain
Kabhi yeh sochne par mahboor kar deti hain, ki woh akela nahin
Aur kabhi aise ki shayad haan woh ab bhi tanha hain

Suchi chahat khud ba khud raaste badal deti hain, soch badal deti hain
Chehre par ajab si chamak bhi le aati hain aur kisi ke intezar ki jhalak bhi
Ankhen aansun to chalkati hain, par kabhi milne ke to kabhi judaai ke
Aaj bhi unhe maloom hain ki intezar hain
Par dil ko yeh maloom nahin ki intezar kab khatm hoga

Har bar ka ehsaas ki woh hain yahin kahin hain
Phir bhi Dil kyun nahin maanta aur ro deta hain unki judai mein
Gar khuda se jo saamna ho, to puchungi zaroor ki dil ka dastoor badal kyun nahin dete
Use bhi to batado, ki jo behta hain zaruri nahin aansun hi ho,
Pyar ka dariya bhi ho sakta hain, unhe bhi to pata chale ki hum bhi bekraar hain unhe dekhne ko

Dil ki zubaan jo ankhon se bayan ho jaye
To mohabaat ki zubaan ki kya zarurat hain
Unhe jo ehsaas karane ki koshish hain
Dil hi puri karde ankhon se, apni zubaan kis kaam ki.
Dil se pyar hain, Rooh intezar mein, aapke liye............................