Monday, July 30, 2007

rangon ki mithaas

zindagi ko jab bhi dekha ,ek anokha rang.
chaha ki khud ko us rang mein bhigo lun,
utar jata hain jahan zindagi ki,nami ka saamna ho jata hain.


hazaron sitaron ke rang apne daaman mein bharke rakhe hain,
par phir bhi yeh daaman khali aur veeran hain.
rangon se yeh mehfil rangeen aur mast hain,
bina kisi rang ke sirf udasi aur veeranapan hain.

aur kya kahun,jab tanhai aaye to saath roshni bhi chod jati hain,
aur jab khushiyan apne aanchal mein sama jati hain to kafila sa ban jata hain.
dil-e-nadaan ko kaise bataun,jinke justuju se ekraar-e-mohabbat hain
woh to mehfil-e-shama mein khoe hain,hosh kaise dilaun
jab khud hi us mehkasar mein madhosh hun.

maikhane ko jane ko dil chahta hain par is dil ko kaise samjhaye
ki sharabi ko maikhane ki kya zarurat jab,nazron se hi roz kaatil kar diya jata hain,
ek jaam aur,ek jaam aur,har jaam par ek mehkashi,har khayal par unki yaad,
aur har ek ghoot par ek tinka aansuon ka,jinhe sukha pana namumkin hain.

bus yahin par ek aur aarzun,jo dil-e-tamanna par barkaraar hain,
yunhi chala ja us ki aur,jo door se apna dikhta hain,
aur pass aane par anjaan ho jata hain,us insaniyat ka kya kahen,
jo aoron ke saamne to takalluf nahin karti,
par tanhai mein akelepan ka ehsaas kara jati hain.

bus aur ek yaad...........................
bus aur ek yaad...........................

No comments: