Tuesday, July 3, 2007

pyaar ke rangeen lamhe

Kisi ne thek hi kaha hain,ishq kar aur kuyen mein dal.kyunki is duniya mein bhalai karne par to koi pehchanta nahin hain.
par burai karne par sab jaan jate hain.

dil ne kaha dil se de de de de sirf deta ja ,aur paane ki koshish na kar,kyunki jahan kuch paane ki chahat rakhi .wahan se siway rusvat ke aur kuch nahin milega.

baad muddat unhe dekh kar yun laga,ki jaise gulshan mein mano bahaar aa gaye.
har chaht ka ek raaz hota hain,aur har raaz ke koi humraaz.

en hamrahiyon se koi jaane ki zindagi ke nashe mein jo aks nazar aata hain woh to sirf peene wale hi jaante hain.
ruk ruk ke jo chale woh girta kum haain,aur jo gir gir ke sambhle,uska tajurba to bus kabil-e-tariff hota hain.

us mukaam tak jo akar ruke to nashe woh kuch aur hi maza hain.manzil der manzil badalti jati hain,har ek rahi ki.

No comments: