Tuesday, July 3, 2007

BUS YUN HI

aaj dil ne kaha bus yun hi likh ,jo dil mein hain,jo zehan mein hain.
kisi se kehne ka kya faayda,kyunki har koi karta to wohi hain jo use karna hota hain.

dil ki baat jab tak dil mein rehti hain ,dil ko sukoon kahan milta hain.par jab wohi baat kisi apne se keh di jati hain,to dil-e-jahan ko aabdh mil jata hain.

dil ne en lavezon ko mehsoos kiya:

khuda humko aise khudai na den,ki apne siva kuch dikhai na den.

beshak mere naseeb mein ,rakh apna ikhtayar.

lekin mere naseeb mein, kya hain bata to de.

hason aaj itna ki is shoor mein,sada siskiyon ki sunai na den.

insaan jo chahta hain woh use kabhi nahin milta,jo nahin chahta woh hamesha milta aur hota hain,par phir bhi ,jab aapne aap ko un haalaton ke saath jasb karta hain ,to yeh zindagi aur lamhe bhi dokha de jate hain.

woh shaam kuch ajeeb thi,yeh shaam bhi ajeeb hain,
woh kal bhi paas paas the,woh aaj bhi kareeb hain.

kissa mohabbat-e-aarzoo ka kisi sunaye,dard yahan bhi hain ,aur dard wahan bhi hain.
dard-de-gum kissi kahen,aankhon mein aanson yahan bhi hain aur wahan bhi.

karat to hain dil ki khushiyon -ke taabooton ko jaldi se apne dil mein dafan karle,
par tooti deewaren yahan bhi aur wahan bhi.


maut ka jasba jinse mila humein,woh hi ab kehte hain,zindagi ka maaza marne mein kum aur jeene mein zyada hain.ab to yahin tassavur hain humein ki zindagi jeeye ja aur khuda-e-illm ka ehsaas kiye ja.

2 comments:

Anonymous said...

Pyar ka izhar karo to unke berukhi se daro...
pyar ka izhar na karo to khud ki mayoose se daro...

Yeh duniya wale bhi ajeeb hote hain
Kabhi door to kabhi kareeb hote hain
Dil ka haal chipao to kaayar kehte hain
Dil ka haal batao to shayar kehte hain.
Aisa kyon hai?
Kyon hai?
Very good writing Karuna...
Keep up the good work...

romita's thoughts said...

thanx shanti,well sure aap jaise khoobsurat sathiyon ka saath ho,to har koi theek thaak likh sakta hain.

thanx for writing

will be looking forward to u.