Tuesday, November 6, 2007

Yun hi jab Manzil Kho jaye

Hmm Kabhi kis ko chahte chahte yeh bhi bhool gai thi ki raasta to maloom ho apni manzil ka
Kal kisi ka ja sahara manga to kahenge ki hum musafir ko jaante hi nahin....

Us saman ka bhi nazara kuch ajeeb sa hoga ki jab kisi par bharosa karo,
To tasavurr hi nahin hota ki pal mein koi begana bhi kar dega....

Phir woh hi raasta aur woh hi manzil
Jiski chah mein khud ko bhi bhool chuke ho.........

Kalka musafir phir se jo rahon par aaye , to yeh bhi bhool jaye ki uska kinara kahan gaya,
Jab kisi ko chaha hain to pyar ki gehraiyon mein jhaank kar dekho apna hi aks dikhai dega...

Pyar ka saagar to aisa hain jahan kush na hote hue bhi khud ko khushnamah paoge
Akela pan ka zeher aisa hain ki sab kuch hote hue bhi khud ko sabse zyada tanho paoge.....

Such kehte hain kisi ke paas sab kuch hote hue bhi woh akela hota hain
Aur kisi ke paas kuch na hote hue bhi woh apne aap ko bhara samajhta hain.........

Zindigi bhi aisi hain, humne jisi chaha uske nashe mein sab kuch bhula diya..
Jab mauka mila usse kuch paane ka to yeh keh diya gaya ki woh to kabhi hamara tha hi nahin......

Jab us pyar ke nashe se alag ho kar dekha to sab ki bheed mein bhi khud ko tanha paya,
Jiske liye is duniya ka bhulaya ,jab usne hi pal mein begana kar diya to laga jaise jaise......

Jaise jaise jaise mano ek sunder sa sapna toot gaya ho
Aankh khuli to paya khud ko ek kinare par
Aur apne humrahi ko dusre kinare par khada paya...........

Pyar ki kahani ka kya hain ek sapna khud ko jahan se alag kar deta hain
Aur dusre pal mein hi khud ko khudse tanha kar deta hain................

Pyar suchha ho to har andhere ka raasta khud ba khud saaf ho jata hain,
Akelepan mein kisi ko roshni ka bhi ehsaas nahin rehta....

Har pal roshni dene wali zindigi hi jab kisi andhere ki katil ho jaye
To use kaun kaise roshni dikha sakta hain...

Sirf uska pyar jo kabhi uska musafir reh chuka tha usko jahan bhar ki mehfil de sakta hain
Pyar woh kashish hain jo har nashe ko tod sakti hain........

Pyar khuda hain,pyar zindagi hain,pyar ibadat hain......
Suchi mohabbat kisi ko bhi sakaar kara sakti hain
Dil se ki gai mohabbat kisi ko barbaad nahin kar sakti..
Aur barbaad hoti hui zindagi ko bhi ruksat kar khushiyon se navaas deti hain.......

Shayad yahi hain kis ko dil-o-jaan se chahna aur apna sab kuch us par nisar dena....
Pyar har koi nahin kar sakta aur gar karle to nibha nahin sakta ...
Kyunki pyar qurbani maangta hain jo har kisi ke bus ki nahin.........

Love is never ending...................................
Will stay in ur soul........................................
Will stay in ur heart.....................................
Har saans se juda hain iska rishta jo marne ke baad bhi nahin tootta...............................

No comments: