Friday, October 12, 2007

Ek lawz ki kahani

dil ke ujle kaagaz par main kaise geet likhun
bolo tum ko gair likhen ya apna meet likhun
neelen ambar ke angan mein taroon ke phool
mere pyase honthon par hain intezaar ke phool
in phoolon ko aakhir apni haar ya jeet likhun
koi purana sapna de do aur kuch meethe bool
lekar hum nikle hain apni ankhon ki taalash
hum banjare preet ke mare kya sangeet likhen
shaam khadi hain ek andhere ke pyale mein roshni bankar
har mood par ek khamoshi bankar ek judaii ki
gar saath hota koi to us paar tak chal pata
par uska kya karen jo kabhi saath tha hi nahin
har mood par har manzil hum hi akele the chalne wale
jab se mana hain is duniya ki tanhaii ko
mano sara jahan hi simta sa nazar aata hain
pyar ke nagmein kya gaaye hum ab is mukaam par
jinhe pyar ne sirf dokha aur anson hi diye hain
par sirf woh hi yaadein hain jo guzra waqt yaad dilati hain
unhi lamho ko dohrati hain jo kabhi jeena ka sahara thi

2 comments:

Anonymous said...

Awesome stuff!!!!
Keep writing .... :)

romita's thoughts said...

thanx shanti
will try my best to express those words from my heart.

thanx for reading,love u
romi