Friday, August 24, 2012

Aaj Phir Tum yaad aaye... Aise aaye jaise.....

Kahan ho tum jahan hum nahin aa sakte
dil yahan hain par dhadkan na jaane kahan kho gaii
Saansen hain mujh mein par lagta hain jaise main zinda nahin

Khuda to hain aas paas, par woh dikhta nahin
Tum bhi ho aas paas, par kyun nahin mehsoos hote mujhe
Aaj bhi utni hi akeli hun jitni aaj se 2 saal pehle thi

aansun hain jo rukte nahin aur dil hain jo tumhe yaad na karne se maanta nahin
thakti nahin hun main tumhe yaad karke
beinteha mohabbat hain tumse
aur tum ho jo paas nahin
kahin nahin.........

Dil ki yaadein hain jo behne se jaati nahin
Gum abhi soya hain , par use jagaye kaun
Jahan ankahi batein tum sun lete the
aaj woh jo apne hain, kya woh such mein mere apne hain
Dil ko sukoon ki talash hain
ek aise kandhe ki zarurat hain, jispar main apna sir rakh thodi deir araam kar sakun

Kaun sunta hain kisi ki, aur kahan main kisi ko aazmaun
jab main khud jaanti hun, ki saya bhi dhokha de jaata hain
Ab kuch sukun hain to sochti hun ki kuch pal bhool jaun
par tum yeh batao ki main tumhe kaise bhoolun
kaise bhoolun woh pal jo maine tumhare saath ek bitaye hain
kaise bhoolun woh yaadein jo humne ek saath jiii hain

aaj phir dil kuch udaas hain aur tumhari yaad hain apne aas paas
Dekhna yeh hain ki kya tumhare siwaye mujhe aur koi yaad aata hain
Tum ho yahan par dikhte kyun nahin
Tum ho aas paas, par ehsaas kyun nahin

kyun nahin......
kyun nahin......

No comments: