Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
Ek pal aisa nahin jab humne tumhe pukaara nahin
Meri koshish kamyaab toh hui nahin
Agar aap jeete hain to main haari nahin
Shayad hamari kismat mein saath tumhara nahin
Kashti bhi hai maajhi bhi hai,par kinaara nahin
Kar rakha hai jisne saare ghar mein ujaala
Aansu hai mera yeh koi toota hua taara nahin
Kiske gale se lag kar royen hum
Is bhari duniya mein apna koi sahara nahin
Woh aa ke ponch den ansu hamari ankhon se
Hamari kismat ko toh yeh bhi gawara nahin
kisko awaaz den jab paas mein koi bhi nahin,
hum to un men se hain jo bheed mein bhi akele aur tanha hain.
yahi hain is dil-e-dariya ki aarzu ki koi hamara bhi ho,
jise hum akelepan mein bhi rooh se jaag kar awaaz den sake.
yunhi yaadein beet jati hain,unhi lamhe guzar jate hain,
reh jati hain sirf tanhai aur kuch meethi yaadein.......
Wednesday, August 8, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Chappoo chalate rehna Karuna...
Kinara bhi mil jayaga aur manzil bhi.. :)
As always...very good thoughts....very well written...
Keep writing..
thanks again shanti,zindagi mein jab tak koi umeed na ho tab tak likhne ka yeh ehsaas karne ka mann nahi hota .
khuda ki rehmat hain ki mujhe unhone ek ummeed aur ek maksad diya hain.
Post a Comment