Zindagi meri nadiya si behti rahi
Apne aap mein, apni umang mein, magan thi
Na kisi ki taraf yeh nazarein uthin
Na kisi ke saath ne lubhaya kabhi
Ek ajnabi se tum chale aaye,
Dosti ki meri tanhaiyon se
Main chehakti machalti naachti rahi
Tum baithe baithe muskurate rahen
Jab chalne ko tum yunhin taiyaar
Ek khamoshi ne mujhe bhi gher liya
Teri sangat ka natija shayad
Main phir khamoshi se behene lagi
baarish kitni hi jagah behti hain,
par padti to sirf chand boondon par hain,
kya yeh samhje ki usko bhi apne pyar ka intezaar hain,
yeh woh bhi apne jansh ke saath kushnamah hain.
unko aati hain masihai to kise awaaz den.
chaha tha bohat kuch kehna par khud ko hi khamosh paya.
dil ke dariya se chookar jo awaaz apne zehen par goonjti hain,
woh hi ajnabee raat ke sapno mein akar poochta hain,
tumhara humrahi kaun hain!
Monday, August 6, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment