mujhse mera kya rishta hain,har ek rishta toot gaya.
itne aaine dekhe hain,sabka chehra bhool gaya.
har ek baat par nikalti hain aah,kise awaaz dun.
har ek saans se palti hain unki yaad,kise armaan dun.
jo insaan kisi kabil tha,uske armaan jala kar shayer bana diya.
ab kehten hain ki duniya ka muquabla kar,kise awaaz dun.
yun to kehne ko muquaddar -e-duniya ne ajab se rang dikhaye hain.
jab aah par ban aaye,to dekhte hain,koi nahin sahare ko.
apne aap par jo kasar na nikal paye,to auron se kya gila.
apne hi hathon jo tabah kiye apne armaan,to auron se kya shikayat.
yeh duniya bhi ajeeb hain ,aur ajeeb hain iske panthi,
har dagar,har mood,har raah,ek naya saya,ek naya dokha.
yahin hain...yahin hain....yahin hain...iski sachai
jo na to maane mani jati hain,aur utare utari jati hain.
jo rahi,humrahi bankar chalne ka waada kar jate hain,
woh hi agli raah par,kisi aur ka haath thaam lete hain.
jo sapne apni aankhon par sajaye the humne,
kisi aur ki panah par palte dekhe hain humne.
abhi ke liye to bus ansuon ka saath hain mujhe,
kisi se suna tha kabhi,ki apne ansun hi apne zakhmon ko sukha deta hain.
*******************************************************************
Saturday, July 21, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Sapne toot jaate hain...iska matlab yeh to nahi ki aap sapne dekna hi chod do....
Unka deedar sirf sapno mein hota hai... kya yeh bahana kaafi nahi??
Good writing Karuna...
Keep up the good work...
thanx dear,sapno ko dekhne ke liye bhi to ankhon mein neend ka hona zaruri hain.
jin aankhon ne sirf intezaar hi kiya hon,aur sirf mayusi hi mili ho,to batao un ankhon mein ansuan ki jagah,neend aur unke sapne kahan se laun.
Post a Comment