ujalon ki jo mili raah to kudse hi anjane ho chale
aaj jo alam hain hamra,kabhi kisi aur ka hua karta tha.
ek raaz aur hazaro hasratein,
ek maikhana aur hazaron sharabi.
thoda jo tha daaman mein to kum tha,
bohat jo aaya to duniya ka hi sukoor ho gaya.
zindagi jise deti hain kum deti hain,
par maut jab deti hain to insaan ko aakhari khawahish bhi de jati hain.
rishton ko jo nibhana jan jaye,woh hi aarzuon ko jeet sakta hain,
par rishton ki haar aur unki takraar kisi ko nakabil bhi bana deta hain.
suna tha pyar pyar ko kat ta hain,
aur zeher zeher ko,par koi bataye to sahi,rishton ko bachane ke liye
kis dard-e-dava ka josh diya jaye,to rishton ki umar badai jaye.
zindagi ka maza jo sukh mein milta hain kahan na kahin woh sukh dukh
mein bhi milta hain,chahe woh apne mein samaye ho aur aoron ko na bataye.
zindagi ka luft to sabhi uthate hain woh jo do waqt ki roti khate hain,
aur woh bhi jo sara din kaam karke raat ko bhooke soo jate hain.
Ab Zakhm Haye Dil Ka Kahan Tak Shumar Ho
Yeh Zakhm Tu Shumar Ki Had Say Ghuzar Gaye.
Ehsaas Mar Chuka Hai Khushi Hai Na Gham Koi
Jaisey K Jeet Haar Ki Had Say Ghuzar Gaye .
zindagi ke kuch lamho ko guzaar kar kuch lawz mere dil se.....
aadamii aadamii ko kyaa degaa jo bhii degaa vahii Khudaa degaa
meraa quatil hi mera a masehah hai kyaa mere haq mein faisalaa degaa
zindagii ko kariib se dekho isakaa cheharaa tumhen rulaa degaa
hamse puchho dostii kaa silaa dushmanon kaa bhii dil hilaa degaa
ishq kaa zahar pii liyaa humneab masiihaa bhii kyaa davaa degaa
ishq ka pyala aur bhi dega sirf kuch mithee yaadein aur kuch udasi se bhare pal.
Saturday, July 28, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment