aaj bhi jab tanha hain to kya soche kya paaya kya khoya hain
Jab tum saath the to sari duniya khushnamah thi.....ab tum nahin to kuch bhi nahin hain saath , ajeeb sa akelapan
aaj aasman apne daman mein piroye hain kitne moti
baadal hain jo apni hi dhunn mein khoye hain
kaash hum bhi kho paate kisike daaman mein apne aansun chupaye
mausam ki rutt hain deewana karna aur apne mein hi kho jana
apni marzi se kahan koi apne ko barbaad karwata hain
sari kaaynat hain jiske bus mein, woh kahan kabhi akela hota hain
hum bhi yun hi chalte rahe sochte rahe ki kabhi to aah ko bhi ruksat kar payenge
Kya pata tha humein ki apni to manzil bhi kisi ke intezar mein gum hain
Jab saath chalne wala hi aaj humse khafa ho kar baitha hain
to kya is kismat ko dosh den jab hum khud hi apna ghar jalaye baithe hain
Mausam ka andaz hain kisi ke saath kuch khaas lamhe guzaarne ka
aaj phir se baithenge hum apne haath mein dhuen ka kash liye hue........
No comments:
Post a Comment