kuch lawz khud mein hi sab kuch samjha jate hain,
aaj kehte hain kal sunwa jate hain,
aisa hi mehsoos hua mujhe jab maine lamho ki tanhaiyon ki goonj suni,
kal kuch lamhe jab tanhaiyon mein beet rahe the to ek ajab sa
ehsaas paya,
"dogs" kehne ko kisi kisi ke liye sirf ek animal hain ,
par agar samajhna chaho to isse jyada wafadar aur suchhe dil wala
aur koi nahin,
inse kisi bhi bhasha mein baat karo ,yeh asani se samajh jate hain,
insaano ka kya hain kuch bhi bolo,yahi jatane ki koshish karte hain ki woh samjhe nahin,
par khuda ne yeh nonu's (dogs) ek aisi niyamat banai hain ki jo dil ki har baat samajhna aur batlana jaante hain.
inse kannada ,hindi,english,punjabi,marathi,telegu ya koi bhi bhasha bolo,
inhe har baat samajh aati hain aur jatani bhi aati hain,
khuda ki rehmat bhi ajeeb hain,
kahin dhoop to kahin chaaun hain,
kisi ke paas sab kuch hain aur woh phir bhi udaas hain,
kisi ke paas kuch bhi nahin hain aur woh phir bhi khush hain.
maine zindagi ko itne kareeb se dekha hain ki
ab insaano ke paas jane se bhi darr lagta hain,
nonu's se itna pyaar paya hain ki,
ek pal ke liye bhi unse door nahin ja sakti........
rehmat-e-pyaar ko kya kahen galib...........
jo milta bhi hain aur paya bhi jata hain
par jo maza suchhe pyar ki mithaas mein hain,
woh rehmat par paye gaye pyaar mein nahin............
dhoop sara din aasmaan par chai rehti hain,
par kuch hawa ke inke use bhi gayab kar jate hain
jo mehsoos kar sake uske liye woh hi ehsaas sab kuch hain
sara din musafir chalte chalte jab thak jata hain,
paid ki chaav mein sara sukoon pa jata hain
us chaav mein mano use saare din ki thakaan ka elaaj mil jata hain...........
Friday, October 12, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment