yeh duniya aur iske loog,dekhe hain iske mukammal musafir.har raste par har mood par insaan milte hain.har ek koshish ki insaan ko samjhne ki par najane kyon har rishta ek umeed par hain jab tak umeedon par kafila chalta hain ,rishten chalte hain.
Is duniya ke rishten aur loog har lamha kuch chahte hain,gar ek khwahish puri ho to dusri jaag jati hain.kitna bhi do sab kuch kum hain.har rishta banate hain kisi na kisi satisfaction karne ke liye.
dekha hain sabko jo kehte hain sabse kareeb hun woh hi sabse pehle door chale jate hain.is duniya mein bohat kuch khoya hain par phir bhi itna paya hain ki khuda ka shukriya katrti hun ki kabhi kisi se koi juda na ho aur gar ho to phir se ek ho jayen.
pyar ke itne rang dekhe hain ki kya kahun,jo kehte hain tumse pyar karti hun ya karta hun,na jane kya chahte hain,kabhi majhdaar mein akela kar jate hain aur phir batana bhi nahin chahte ki kya khata hain hamari.
Sunday, June 17, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment