Tuesday, February 12, 2008

Jhooti Umeedein

kuch log sirf jhoothi umeeden dena hi jaante hain...
kitna bhi chaho ki is manzar ka saamna na ho, par phir bhi kismat ki lakiron mein
likha koi kaise mita sakta hain...
jiska sukoon aankhon par sama kar rakha ho, woh hi jab dil ke ashiyane ko tod den
to kya kahen, yeh to manzar-e-toufa ho jaye phir....

kitna bhi samjhaye is dil ko, kahin na kahin kisi na kisi par narm ho hi jata hain,
such hi kaha hain kise ne,duniya khuda ne banaye,
har kisi ko kuch na kuch baksha,kisko kya mila yeh to uske karmo ka tassavvurrr hain.....

jis arma par naaz ho jashn-e-khayal ko, us dil-e-arzoo ko hi koi tabah kar de..
to kya kahen, is duniya ka dastoor hi kuch aise hain
jo sabko khushi den,use yeh duniya sirf ankhoon mein aansoo hi deti hain
jo sabko dard de, uske mujahid yeh duniya khud ko makraar kar deti hain.....

ankhoon ki narmi ab dikhaye kise, hoonthon ki saymiyat ab jataye kise...
dil mein jo toofan uthta hain, use dabaye kaise,dil ke arzoo hi jab mukammal ho napaye
to apni rooh ka dard jataye kise.

dil ki yeh arzoo thi koi dilruba mile
lo ban gaya naseeb ki tum humse aakar mile
dekhe humein naseeb se ab apne kya mile
ab tak to jo bhi loog mile , bewafa mile.

ankhon ko ek ishare ki zehmat to dijeye
gum ko gale lagalun jo ,gum aapka mile
dil ka jo dard hain khud mein sama lun.

humne udasiyon mein guzari hain zindagi...
lagta hain darr fareb-e-wafa se kabhi kabhi
aisa na ho ki zakhm koi phir naya mile

kal tum juda hue the saath chodkar
hum wahan khade hain aaj bhi aanchal luta ke
humko is intezaar ka koi sila to mile jab tak saanson ka saath hain

unhi bus jiye ja rahe hain, jab tak koi mukkamal-e-jahan nahin milta
*****************************************